Topic-ID: 212
RomY:
Date:21-05-2011|11:32
yeh kin sawalon ki kirchian hein
udaas aankhon ke farsh par jo bikhar rahi hein
yeh soyi jaagi nidhaal aankhein
taweel raston ki khoj mein hein
zaeef mausum har ik sukhan ke
lahoo mein gardish naseeb saaey hein waahimon ke
jinhein abhi tuk suraagh dil ka mila nahin hai
kinaar waada woh phool ub tuk khila nahin hai
hazaar lehjey hein justujoo mein
magar yeh baaton mein dhund kia hai
azal abad ka yeh dasht-o-sehra
yeh bhed kia hai, yeh bhaao kia hai
abad ki baaton ke khar-o-khas mein
azal se pehley ki sa’aton mein
hum apney chehrey ko dekhtey hein
humein tu khwaahish ki aahaton par
nazar jhukaati hui hawa se yeh poochna hai
keh waqt ki rehguzar mein ub safar ki kis intiha pe hum hein
yeh khwaab kis neend ka badan hai?
yeh zindagi ka bahaao kia hai?
RomY:
Date:21-05-2011|11:33
zara thehro!
k suraj ko to jane do
pirandon ko to urne do
zara to shaam dhalne do
abhi to aasman ka rang nikhre ga
abhi khusboo bhi bikhre gi
abhi mausam bhi badle ga
abhi to chand nikle ga
abhi manzar badalne mein zara si dair baaqi hai
abhi dil k sanbhalne mein zara si dair baaqi hai
chale jana!
abhi do char pal, do char saddiyaan saath rehne do
zara to shaam dhalne do............thehar jao
RomY:
Date:22-05-2011|13:36
apna mizaaj e kaar badalnay nahi diya
Dil ne koe nazaam bhi chalnay nahi diya
Aey mahtaab e husn humara kamal dekh
tujh ko kissi bhi rung mayn dhalnay nahi diya
gardish mayn hum rahay hayn toh apna qasoor kiya
Tu ne humayn kashish se nikalnay nahi diya
gir yeh kiya Toh aankh mayn bharta geyya dhuwaan
Dil mataa e dard ko jalnay nahi diya
thori si wazaa dari toh iss dil k waastay
Tu ne toh iss mayn waham bhi palnay nahi diya
tehzeeb apni ki mohabbat ne Saad yun
iss Dil ko hum ne had se nikalnay nahi diya
You must be looged in to post in Forum.
Back to TopicsBack to ForumsSubscribe this Topic