Topic-ID: 70
FRaGRaNcE:
Date:19-05-2010|12:59
Dil nhe manta tha woh kbhe badal jyega,hmy hmre hy Dil sy chura kr hmy chur jane ka soch lega,kce ayza be wafa ka dard hai,janti hn ahsta ahsta siny m utar hy jyega,kya kry kahan jyn hum,dil kehta hai yai zakham kbhe tu bhr jayega,sb kuch apna gawa kr usy paya hai,paa kr phr khone ka dar lga hai,aye khuda tu mohbt ki mjbori kam kr dai,jise humne chaha usy hmre jhouli m dal dai..
PiNK~GuRyA:
Date:19-05-2010|14:37
Jo Meri aankhon se Khuwab dekho To Aik shab bhi na So sako Gay K Laakh Chaho Na Hans sako gay Hazaar chaho na Ro Sako gay’ K Khuwab kya hain Azaab Hain yeh Mere Dukhon ki kitaab hain yeh Rifaqatain In main Chotti hain Mohabbatain in main Roothti hain Pinapti Hain In main Vahshatain see Aziatain In main Photti hain Un hi ke Dar se Khizaan Hain Jazbay Un hi se shakhain see tot’ti hain Ghamon ki Bandish hain Khuaab mere Ahal Raha hai Dukhon ka Lava Rahen Aatish hain khuwab Mere Khayal sare Jhulaas gay hain Sulagti Khuahish hain khuaab Mere Ukharrti Sansain hain Zindagi ki Lahu ki Sazish hain Khuaab Mere Jo Meri aankhon se Khuaab dekho To Aik shab bhi na So sako Gay!
^MysteriouS^:
Date:19-05-2010|14:42
Nadaan Nahi Tha Woh
jitnay thay hairan hum hairaan nahi tha woh
waqt-e-rukhsat zara bhi pareshan nahi tha woh
rakhta tha woh bhi mefil-e-yaran meri tarah
ander se mager meri tarah veeran nahi tha woh
kehta tha k meri batain usay samajh nahi aati
tha to sahi mager is qadar nadaan nahi tha woh
mujhay daikh ker ik hunsi b sadqa na ki us ne
shayad baraey naam b musalmaan nahi tha woh
faqat derd hi paya hai us se main ne majid
zara sa b mujh pe meherbaan nahi tha woh
PiNK~GuRyA:
Date:12-07-2010|04:42
Hum bevafa har gez na tha par hum vafa krna sake hum ko mile jes ki saza hum vo khata krna sake

Veer:
Date:12-07-2010|07:00
Hindi me Shayari
रास्ते में ही छोड़कर उन्हे जाने कि आदत है
वो मेरे हर झूठ से खुश होती,
जिसे हमेशा सच बोलने की आदत थी,
वो एक आंसू भी गिरने पर खफा होती थी,
जिसे तन्हाई में रोने की आदत थी,
वो कहती थी की मुझे भूल जाओगे,
जिसे मेरी हर बात याद रखने की आदत थी,
हमेशा माफ़ी मांगने के बहाने से,
रोज़ गलतियाँ करना उसकी आदत थी,
वो जो दिल जान न्योछावर करती थी मुझ पर,
मगर छोटी सी बात पर 
Veer:
Date:12-07-2010|07:08
khubsoorat hain woh lub
jo pyari batein kartey hain
khubsoorat hai woh muskurahat
jo doosron ke chehron per bhi muskan saja de
khubsoorat hai woh dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tadpey
khubsoorat hain woh jazbat
jo kisi ka ehsaas karein
khubsoorat hai woh ehsaas
jo kisi ke dard ke me dawa baney
khubsoorat hain woh batein
jo kisi ka dil na dukhaein
khubsoorat hain woh ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho
khubsoorat hain woh ansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jae
khubsoorat hain woh Hath
jo kisi ko mushkil
waqat mein tham lein
khubsoorat hain woh kadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey badhein !!!!!
khubsoorat hai woh soch
jo kisi ke liye acha sochey
khubsoorat hai woh insan
jis ko KHUDA ne ye
khubsoorati ada ki.
You must be looged in to post in Forum.
Back to TopicsBack to ForumsSubscribe this Topic