Topic-ID: 123
aLiSha:
Date:18-08-2009|16:09
Eik azeem shaira jo bht kam waqt me bht khubsurat KALAMON se nawaz gaien hamen, unki yad me unk kuch kalam...
aLiSha:
Date:19-08-2009|17:42
Apni ruswai tere naam ka charcha daikhon, eik zara sher kahon or mein kya kya daikhon, neend ajaye to kya mehfilien barpa daikhon, ankh khul jae to kya tanhai ka sehra daikhon, sham bhi ho gaye, dhundala gayen ankhen mere, bhulane wale me kab tak tera rasta daikh0n, sub zidien uski men puri karun , har baat suno, eik bachey ki tarhan se use me hansta daikh0n , mujh pe cha jaye wo barasat ki khushbu ki tarha, ang ang apna usi rut mein mehakta daikh0n, tu mere tarhan se yakta hai mgr mere habib , jee men ata hai koi aur b tjh sa daikh0n, maine jis lamhe ko poja hai use bus eik bar, khuwab ban kar tere ankh0n men utarta daikhon, tu mera kuch nahen lagta hai magar jaan-e-hayat, jane ky0n dil ko tere liye Dharakta daikh0n. . . .
aLiSha:
Date:19-08-2009|17:50
Badban khulne se pahle ka ishara daikhna, men samundar daikhti h0n , tum kinara daikhna, yun bicharna b bht asan na tha us se mgr , jate jate us ka wo mur k dubara daikhna, kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand, ay shab-e-hijran zara apna sitara daikhna, aiene ki ankh hi kuch kam na the mere liye , jane ab kya kya dikhaye ga tera daikhna. . . .
aLiSha:
Date:19-08-2009|17:53
Mein kachi neend men hun or apne neem khuwabida tanaffus men utarti chandni ki chap sunti hun, guman hai aj bhi shayad mere mathe pe tere lab sitare sabat karte hain
Jugnu:
Date:08-09-2009|02:54
Kubaku fail gayi bat shanashai ki usne khushbu ki tarah meri pazirai ki......
<GeNuiNe>:
Date:08-09-2009|20:11
raaston ka ilm thaa na hum ko simton ki khabar....... Shehar e na maloom ki chaahat magar karte rahe.....
You must be looged in to post in Forum.
Back to TopicsBack to ForumsSubscribe this Topic