Topic-ID: 212
RomY:
Date:22-05-2011|13:36
apna mizaaj e kaar badalnay nahi diya
Dil ne koe nazaam bhi chalnay nahi diya
Aey mahtaab e husn humara kamal dekh
tujh ko kissi bhi rung mayn dhalnay nahi diya
gardish mayn hum rahay hayn toh apna qasoor kiya
Tu ne humayn kashish se nikalnay nahi diya
gir yeh kiya Toh aankh mayn bharta geyya dhuwaan
Dil mataa e dard ko jalnay nahi diya
thori si wazaa dari toh iss dil k waastay
Tu ne toh iss mayn waham bhi palnay nahi diya
tehzeeb apni ki mohabbat ne Saad yun
iss Dil ko hum ne had se nikalnay nahi diya
RomY:
Date:21-05-2011|11:33
zara thehro!
k suraj ko to jane do
pirandon ko to urne do
zara to shaam dhalne do
abhi to aasman ka rang nikhre ga
abhi khusboo bhi bikhre gi
abhi mausam bhi badle ga
abhi to chand nikle ga
abhi manzar badalne mein zara si dair baaqi hai
abhi dil k sanbhalne mein zara si dair baaqi hai
chale jana!
abhi do char pal, do char saddiyaan saath rehne do
zara to shaam dhalne do............thehar jao
RomY:
Date:21-05-2011|11:32
yeh kin sawalon ki kirchian hein
udaas aankhon ke farsh par jo bikhar rahi hein
yeh soyi jaagi nidhaal aankhein
taweel raston ki khoj mein hein
zaeef mausum har ik sukhan ke
lahoo mein gardish naseeb saaey hein waahimon ke
jinhein abhi tuk suraagh dil ka mila nahin hai
kinaar waada woh phool ub tuk khila nahin hai
hazaar lehjey hein justujoo mein
magar yeh baaton mein dhund kia hai
azal abad ka yeh dasht-o-sehra
yeh bhed kia hai, yeh bhaao kia hai
abad ki baaton ke khar-o-khas mein
azal se pehley ki sa’aton mein
hum apney chehrey ko dekhtey hein
humein tu khwaahish ki aahaton par
nazar jhukaati hui hawa se yeh poochna hai
keh waqt ki rehguzar mein ub safar ki kis intiha pe hum hein
yeh khwaab kis neend ka badan hai?
yeh zindagi ka bahaao kia hai?
RomY:
Date:21-05-2011|11:30
Mila mil k koi bichar gaya
Rag-e-ja'n mein jaisay utar gaya
Bina jis k jina muhal hay
usi ajnabi ka khayal hay.......
Meray din aur raat badal gaya
Meri kainat badal gaya
Mera aaj jaisa bhi haal hay
Usi ajnabi ka khayal hay.....
Meri sham-e-gham mein shareek tha
Meri chashm-e-nam mein shareek tha
Meray hoslo'n ki misal hay
Usi ajnabi ka khayal hay......
RomY:
Date:21-05-2011|11:29
bara kathin hy raasta jo aasako tu saath do
ye zindagi ka faasla mitta sako tu saath do
barey faraib khao gey barey sitam uthao gey
ye umar bhar ka sath hy nibha sako tu saath do
jo tum kaho tu ye dil kiya main jaan b fida karon
jo main kahon tu bas ek nazar lutaa sako tu sath do
hazaar imtihaan yahaan hazaar aazmaishen
hazaar dukh hazaar gum utha sako tu saath do
ye zindagi yahaan khushi gamoon k sath sath hy
rula sako tu saath do haansa sako tu saath do
.................... .................... .................... ..........
RomY:
Date:21-05-2011|11:29
kisi ka dard amanat hai merey siine mai
k jaisey wus'atey darya miley safine mai
khabar nahii k mere shair kia mera funn kia
ik aag hai k jo dhalti hai aab-geene mai
baras tamam huwa aur umr baaqii hai
juda huwe thai wo mujhsey isii mahine mai
tere khayal se rag rag dukhi hui hai merii
ajab tarah ki kami reh gayee hai jiine mai
mera ye haal tera zikr sunn k you'n chup hoo'n
shu'aayain dafn ho jaisey kisii nagiiney mai
tamam gham hoo'n,DOST mujhe sehl matt jano
kati hai umr meri zabt k qareene mai
You must be looged in to post in Forum.
Back to TopicsBack to ForumsSubscribe this Topic